yādoñ  ke  sab  rañg  uḌā  kar  tanhā  huuñ
apnī  bastī  se  duur  aa  kar  tanhā  huuñ
koī  nahīñ  hai  mere  jaisā  chāroñ  or
apne  gird  ik  bhiiḌ  sajā  kar  tanhā  huuñ
jitne  log  haiñ  utnī  hī  āvāzeñ  haiñ
lahjoñ  kā  tūfān  uThā  kar  tanhā  huuñ
raushniyoñ  ke  aadī  kaise  jāneñge
āñkhoñ  meñ  do  diip  jalā  kar  tanhā  huuñ
jis  manzar  se  guzrī  thī  maiñ  us  ke  saath
aaj  usī  manzar  men  aa  kar  tanhā  huuñ
paanī  kī  lahroñ  par  bahtī  āñkhoñ  meñ
kitne  bhūle  ḳhvāb  jagā  kar  tanhā  huuñ
merā  pyārā  sāthī  kab  ye  jānegā
dariyā  kī  āġhosh  tak  aa  kar  tanhā  huuñ
apnā  aap  bhī  kho  dene  kī  ḳhvāhish  meñ
us  kā  bhī  ik  naam  bhulā  kar  tanhā  huuñ