maiñ  TuuT  kar  use  chāhūñ  ye  iḳhtiyār  bhī  ho
sameT  legā  mujhe  is  kā  e'tibār  bhī  ho
na.ī  rutoñ  meñ  vo  kuchh  aur  bhī  qarīb  aa.e
ga.ī  rutoñ  kā  sulagtā  sā  intizār  bhī  ho
maiñ  us  ke  saath  ko  har  lamha  mo'tabar  jānūñ
vo  ham-safar  hai  to  mujh  sā  hī  be-dayār  bhī  ho
mire  ḳhulūs  kā  andāz  ye  bhī  sachchā  hai
rakhkhūñ  na  rabt  magar  dostī  shumār  bhī  ho
safar  pe  niklūñ  to  rasm-e-safar  badal  jaa.e
kināra  baḌh  ke  kabhī  ḳhud  hī  ham-kanār  bhī  ho