rukā  javāb  kī  ḳhātir  na  kuchh  savāl  kiyā
magar  ye  zo.am  ki  har  rābta  bahāl  kiyā
thakan  nahīñ  hai  kaThin  rāstoñ  pe  chalne  kī
bichhaḌne  vāloñ  ke  dukh  ne  bahut  niDhāl  kiyā
jo  TūTnā  thā  faqat  dard  hī  kā  rishta  thā
to  dil  ne  kyuuñ  bhalā  is  baat  par  malāl  kiyā
bachā  ke  rakhnā  thā  ik  aks  apnī  āñkhoñ  meñ
baḌe  jatan  se  unheñ  ā.īna-misāl  kiyā
lahū  meñ  tair  ga.ī  vo  ghaḌī  judā.ī  kī
ki  jis  ke  zahr  ne  jiinā  mirā  muhāl  kiyā
bichhaḌ  rahā  thā  magar  muḌ  ke  dekhtā  bhī  rahā
maiñ  muskurātī  rahī  maiñ  ne  bhī  kamāl  kiyā
ḳhabar  thī  us  ko  ki  dasht-e-hunar  se  aa.ī  huuñ
so  us  ke  lafzoñ  ne  zaḳhmoñ  kā  indimāl  kiyā