nahīñ  samjhī  thī  jo  samjhā  rahī  huuñ
ab  uljhī  huuñ  to  khultī  jā  rahī  huuñ
bahut  gahrī  hai  us  kī  ḳhāmushī  bhī
maiñ  apne  qad  ko  chhoTā  pā  rahī  huuñ
umañD  aayā  hai  shor  auroñ  ke  ghar  se
darīche  khol  ke  pachhtā  rahī  huuñ
hujūm  itnā  ki  chehre  bhuul  jā.ūñ
bisāt-e-zāt  ko  phailā  rahī  huuñ
ye  manzar  pūchhte  haiñ  mujh  se  aksar
kahāñ  se  aa.ī  huuñ  kyuuñ  jā  rahī  huuñ
agar  sach  hai  to  phir  sābit  karo  tum
maiñ  apne  aap  ko  jhuTlā  rahī  huuñ