zamīñ  se  rishta-e-dīvār-o-dar  bhī  rakhnā  hai
sañvārne  ke  liye  apnā  ghar  bhī  rakhnā  hai
havā  se  aag  se  paanī  se  muttasil  rah  kar
inhīñ  se  apnī  tabāhī  kā  Dar  bhī  rakhnā  hai
makāñ  banāte  hue  chhat  bahut  zarūrī  hai
bachā  ke  sehn  meñ  lekin  shajar  bhī  rakhnā  hai
ye  kyā  safar  ke  liye  hijrateñ  javāz  baneñ
jo  vāpsī  kā  ho  aisā  safar  bhī  rakhnā  hai
hamārī  nasl  sañvartī  hai  dekh  kar  ham  ko
so  apne-āp  ko  shaffāf-tar  bhī  rakhnā  hai
havā  ke  ruḳh  ko  badalnā  agar  nahīñ  mumkin
havā  kī  zad  pe  safar  kā  hunar  bhī  rakhnā  hai
nishān-e-rāh  se  baḌh  kar  haiñ  ḳhvāb  manzil  ke
inheñ  bachānā  hai  aur  raah  par  bhī  rakhnā  hai
javāz  kuchh  bhī  ho  itnā  to  sab  hī  jānte  haiñ
safar  ke  saath  javāz-e-safar  bhī  rakhnā  hai