sukūn-e-dil  ke  liye  ishq  to  bahāna  thā
vagarna  thak  ke  kahīñ  to  Thahar  hī  jaanā  thā
jo  iztirāb  kā  mausam  guzār  aa.eñ  haiñ
vo  jānte  haiñ  ki  vahshat  kā  kyā  zamāna  thā
vo  jin  ko  shikva  thā  auroñ  se  zulm  sahne  kā
ḳhud  un  kā  apnā  bhī  andāz  jārehāna  thā
bahut  dinoñ  se  mujhe  intizār-e-shab  bhī  nahīñ
vo  rut  guzar  ga.ī  har  ḳhvāb  jab  suhānā  thā
kab  us  kī  fat.h  kī  ḳhvāhish  ko  jiit  saktī  thī
maiñ  vo  farīq  huuñ  jis  ko  ki  haar  jaanā  thā