Fatima Hasan

KHwab girwi rakh diye aankhon ka sauda kar diya

Fatima Hasan

Karachi, Sindh, Pakistan

1953
ḳhvāb girvī rakh diye āñkhoñ kā saudā kar diyā
qarz-e-dil kyā qarz-e-jāñ bhī aaj chuktā kar diyā
ġhair ko ilzām kyuuñ deñ dost se shikva nahīñ
apne hī hāthoñ kiyā jo kuchh bhī jaisā kar diyā
kuchh ḳhabar bhī ho na paa.ī is dayār-e-ishq meñ
kaun yūsuf ho gayā kis ko zuleḳhā kar diyā
dil ke darvāze pe yādeñ shor jab banñe lagīñ
dhaḌkanoñ kā naam de kar bojh halkā kar diyā
kitne achchhe log the kyā raunaqeñ thiiñ un ke saath
jin kī ruḳhsat ne hamārā shahr suunā kar diyā
apne pyāroñ ko bachāyā dard kī har mauj se
aañkh meñ sailāb rokā dil ko dariyā kar diyā
phūl, paude, peḌ, bachche ghar kā āñgan aur tum
ḳhvāhishoñ ke naam par in sab ko yakjā kar diyā
ġham nahīñ lā-hāsilī kā ishq kā hāsil hai ye
ai hisāb-e-zindagī tujh ko to puurā kar diyā
hijr se hijrat talak har dukh se samjhautā kiyā
bhiiḌ meñ rah ke bhī maiñ ne ḳhud ko tanhā kar diyā
ye zamīñ 'hasrat' kī hai is par qadam rakkhā to phir
itnī jur.at ho ga.ī arz-e-tamannā kar diyā
Top Urdushayar.com