ḳhvāb  girvī  rakh  diye  āñkhoñ  kā  saudā  kar  diyā
qarz-e-dil  kyā  qarz-e-jāñ  bhī  aaj  chuktā  kar  diyā
ġhair  ko  ilzām  kyuuñ  deñ  dost  se  shikva  nahīñ
apne  hī  hāthoñ  kiyā  jo  kuchh  bhī  jaisā  kar  diyā
kuchh  ḳhabar  bhī  ho  na  paa.ī  is  dayār-e-ishq  meñ
kaun  yūsuf  ho  gayā  kis  ko  zuleḳhā  kar  diyā
dil  ke  darvāze  pe  yādeñ  shor  jab  banñe  lagīñ
dhaḌkanoñ  kā  naam  de  kar  bojh  halkā  kar  diyā
kitne  achchhe  log  the  kyā  raunaqeñ  thiiñ  un  ke  saath
jin  kī  ruḳhsat  ne  hamārā  shahr  suunā  kar  diyā
apne  pyāroñ  ko  bachāyā  dard  kī  har  mauj  se
aañkh  meñ  sailāb  rokā  dil  ko  dariyā  kar  diyā
phūl,  paude,  peḌ,  bachche  ghar  kā  āñgan  aur  tum
ḳhvāhishoñ  ke  naam  par  in  sab  ko  yakjā  kar  diyā
ġham  nahīñ  lā-hāsilī  kā  ishq  kā  hāsil  hai  ye
ai  hisāb-e-zindagī  tujh  ko  to  puurā  kar  diyā
hijr  se  hijrat  talak  har  dukh  se  samjhautā  kiyā
bhiiḌ  meñ  rah  ke  bhī  maiñ  ne  ḳhud  ko  tanhā  kar  diyā
ye  zamīñ  'hasrat'  kī  hai  is  par  qadam  rakkhā  to  phir
itnī  jur.at  ho  ga.ī  arz-e-tamannā  kar  diyā