bikhar  rahe  the  har  ik  samt  kā.enāt  ke  rañg
magar  ye  aañkh  ki  jo  DhūñDtī  thī  zaat  ke  rañg
hamāre  shahr  meñ  kuchh  log  aise  rahte  haiñ
safar  kī  samt  batāte  haiñ  jin  ko  raat  ke  rañg
ulajh  ke  rah  ga.e  chehre  mirī  nigāhoñ  meñ
kuchh  itnī  tezī  se  badle  the  un  kī  baat  ke  rañg
bas  ek  baar  unheñ  khelne  kā  mauqā  do
ḳhud  in  kī  chaal  batā  degī  saare  maat  ke  rañg
havā  chalegī  to  ḳhushbū  mirī  bhī  phailegī
maiñ  chhoḌ  aa.ī  huuñ  peḌoñ  pe  apnī  baat  ke  rañg