kaho  to  naam  maiñ  de  duuñ  ise  mohabbat  kā
jo  ik  alaav  hai  jaltī  huī  rifāqat  kā
jise  bhī  dekho  chalā  jā  rahā  hai  tezī  se
agarche  kaam  yahāñ  kuchh  nahīñ  hai  ujlat  kā
dikhā.ī  detā  hai  jo  kuchh  kahīñ  vo  ḳhvāb  na  ho
jo  sun  rahī  huuñ  vo  dhokā  na  ho  samā.at  kā
yaqīn  karne  lage  log  rut  badaltī  hai
magar  ye  sach  bhī  karishma  na  ho  ḳhitābat  kā
sañvārtī  rahī  ghar  ko  magar  ye  bhuul  ga.ī
ki  muḳhtasar  hai  ye  arsa  yahāñ  sukūnat  kā
chalo  ki  is  meñ  bhī  ik-ādh  kaam  kar  Dāleñ
jo  mil  gayā  hai  ye  lamha  zarā  sī  mohlat  kā