Bahram ji

hum na but-KHane mein ne masjid-e-viran mein rahe

Bahram ji

ham na but-ḳhāne meñ ne masjid-e-vīrāñ meñ rahe

hasrat-o-ārzū-e-jalva-e-jānāñ meñ rahe

ḳhuuñ hai vo jis se ki ho dāman-e-qātil rañgīñ

ḳhuun fāsid hai jo ḳhālī sar-e-mizhgāñ meñ rahe

ham ne masnūa se saan.e haqīqat paa.ī

be-sabab ham nahīñ nazzāra-e-ḳhūbāñ meñ rahe

sub.h ḳhurshīd ko dekhā havas-e-āriz meñ

shaam se raushnī-e-sham-e-shabistāñ meñ rahe

toḌā zunnār ko tasbīh ko pheñkā ham ne

ishq-e-ruḳh thā havas-e-nūr-e-daraḳhshāñ meñ rahe

jā-ba-jā ham ko rahī jalva-e-jānāñ talāsh

dair-o-ka.aba meñ phire sohbat-e-rahbāñ meñ rahe

ḳhalvat-e-dil na kuchh qadr ko samjhe haajī

tauf-e-ka.aba ke liye dasht-o-bayābāñ meñ rahe

un asīroñ ko hui qaid-e-ta.ayyun se najāt

jo ki pāband tire gesu-e-pechāñ meñ rahe

is zamīñ meñ ġhazal ik aur bhī likkho 'bahrām'

ye do-ġhazla to bhalā aap ke dīvāñ meñ rahe

Top Urdushayar.com