Bahram ji

kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka feal-e-abas

Bahram ji

kab tasavvur yār-e-gul-ruḳhsār kā fe.al-e-abas
ishq hai is gulshan-o-gulzār kā fe.al-e-abas
nik.hat-e-gasu-e-ḳhūbāñ ne kiyā be-qadr use
ab hai saudā nāfā-e-tātār kā fe.al-e-abas
rishta-e-ulfat rag-e-jāñ meñ butoñ kā paḌ gayā
ab ba-zāhir shaġhl hai zunnār kā fe.al-e-abas
ārzū-mand-e-shahādat āshiq-e-sādiq hue
ġhair ko Dar hai tirī talvār kā fe.al-e-abas
jab dil-e-sañgīñ-dilāñ meñ kuchh asar hotā nahīñ
girya hai is dīda-e-ḳhūñ-bār kā fe.al-e-abas
ḳhvāb meñ bhī yaar ko is kā ḳhayāl aatā nahīñ
jāgnā thā dīda-e-bedār kā fe.al-e-abas
ḳhālī-az-hikmat huā 'bahrām' kab fel-e-hakīm
kaam kab hai dāvar-e-dādār kā fe.al-e-abas
Top Urdushayar.com