Iqra Afiya

hamare zehn pe tari hai bebasi ab tak

Iqra Afiya

1994
hamāre zehn pe taarī hai bebasī ab tak
ki puurī ho nahīñ paa.ī tirī kamī ab tak
tumhāre ba.ad mire zaḳhm bharnā duur kī baat
tumhāre ba.ad udāsī nahīñ ga.ī ab tak
bahut purānā ta.alluq ye un parindoñ se
magar maiñ samjhī nahīñ un kī dostī ab tak
kisī ke saath ne jiine kā hausla baḳhshā
isī liye maiñ na kar paa.ī ḳhud-kushī ab tak
tumhāre ba.ad kahīñ aur dil lagānā thā
tumhāre ba.ad ye mohlat nahīñ milī ab tak
tumhāre ba.ad ujāle se ho ga.ī thī chiḌh
hamārī aañkh ko rotī hai raushnī ab tak
ham aise log jo andar se mar chuke kab ke
hamārī laash hī dhartī pe hai dharī ab tak
Top Urdushayar.com