Bahram ji

ho chuka waz ka asar waiz

Bahram ji

ho chukā va.az asar vaa.iz

ab to rindoñ se dar-guzar vaa.iz

sub.h-dam ham se na kar takrār

hai hameñ pahle dard-e-sar vaa.iz

bazm-e-rindāñ meñ ho agar shāmil

phir tujhe kuchh nahīñ ḳhatar vaa.iz

va.az apnā ye bhuul jaa.e

aave gar yār-e-sīm-bar vaa.iz

hai ye murġh-e-sahar se bhī faa.iq

sub.h uThtā hai peshtar vaa.iz

masjid-o-ka.aba meñ phirtā hai

kū-e-jānāñ se be-ḳhabar vaa.iz

shor-o-ġhul band to nahīñ kartā

hai insāñ ki koī ḳhar vaa.iz

zāhirī va.az se hai kyā hāsil

apne bātin ko saaf kar vaa.iz

banda-e-kū-e-yār hai 'bahrām'

terī masjid se kyā ḳhabar vaa.iz

Top Urdushayar.com