kabhī  kabhī  arz-e-ġham  kī  ḳhātir  ham  ik  bahānā  bhī  chāhte  haiñ
jab  āñsuoñ  se  bharī  hoñ  āñkheñ  to  muskurānā  bhī  chāhte  haiñ
vo  dil  se  tañg  aa  ke  aaj  mahfil  meñ  husn  kī  tamkanat  kī  ḳhātir
nazar  bachānā  bhī  chāhte  haiñ  nazar  milānā  bhī  chāhte  haiñ
mazā  jab  aa.e  ki  intiqāman  maiñ  dil  kā  ā.īna  toḌ  Dālūñ
mire  hī  hāthoñ  saje  haiñ  aur  ab  mujhī  pe  chhānā  bhī  chāhte  haiñ
jabhī  to  ḳhud  aaj  shahr  ke  gul-ruḳhoñ  kī  tārīf  kar  rahe  haiñ
vo  intiḳhāb-e-nazar  ko  mere  ab  āzmānā  bhī  chāhte  haiñ
agarche  tūfān-e-rañg-o-bū  kī  sharīr  lahroñ  se  thak  chuke  haiñ
magar  vo  dil  ke  na.e  talātum  kī  zad  meñ  aanā  bhī  chāhte  haiñ
'salām'  āzād  shā.erī  kī  tavīl  o  dushvār  raah  meñ  ham
kabhī  kabhī  barbat-e-taġhazzul  pe  gungunā  bhī  chāhte  haiñ