faqīh-e-shahr  se  rishta  banā.e  rahtā  huuñ
sharīf  ghar  kā  huuñ  izzat  bachā.e  rahtā  huuñ
magar  ye  raah  to  is  tarah  tai  nahīñ  hogī
maiñ  donoñ  paañv  zamīñ  par  jamā.e  rahtā  huuñ
akele  shaḳhs  pe  dushman  diler  hote  haiñ
to  saath  meñ  koī  qissa  lagā.e  rahtā  huuñ
banā.e  kuchh  nahīñ  bantī  zamīñ  pe  jab  mujh  se
to  āsmān  ko  sar  par  uThā.e  rahtā  huuñ
abhī  kahāñ  koī  naubat  hai  marne  jiine  kī
zarā  azīzoñ  ko  yuuñ  hī  Darā.e  rahtā  huuñ
kisī  faqīr  ke  tāvīz  kī  tarah  'zaidī'
maiñ  zer-e-sañg  tamannā  dabā.e  rahtā  huuñ