ham  aise  log  jald  asīr-e-ḳhizāñ  hue
lekin  ġhurūr-o-tamkanat-e-gulistāñ  hue
tūfān-e-ahd-e-tāza  tirā  shukriya  ki  ab
jitne  sitāre  zehn  meñ  chamke  dhuāñ  hue
aa.e  haiñ  phuul  dhuup  se  bachne  mirī  taraf
merā  hī  dil  hai  chāñd  jahāñ  mehmāñ  hue
jab  tum  mile  to  sāmne  mai-ḳhāna  mil  gayā
aur  falsafe  hayāt  ke  sab  rā.egāñ  hue
merī  nazar  se  aaj  gurezāñ  hai  gulistāñ
merī  nazar  kī  chhāñv  meñ  ġhunche  javāñ  hue
ab  kuchh  nahīñ  hai  ma.abad-e-getī  ḳhatā  muaaf
motī  se  ashk  sarf-e-mah-o-kahkashāñ  hue
ab  mā-hasal  hayāt  kā  bas  ye  hai  ai  'salām'
cigarette  jalā.ī  sher  kahe  shādmāñ  hue