in  ġhazālān-e-tarah-dār  ko  kaise  chhoḌūñ
jalva-e-vādī-e-tātār  ko  kaise  chhoḌūñ
dard-āgīñ  hī  sahī  barbat-e-pas-manzar-e-bazm
nashsha-e-hā-e-lab-o-ruḳhsār  ko  kaise  chhoḌūñ
ai  taqāzā-e-ġham-e-dahr  maiñ  kaise  aa.uuñ
lazzat-e-dard  ġham-e-yār  ko  kaise  chhoḌūñ
maiñ  ḳhizāñ  meñ  bhī  parastār  rahā  huuñ  us  kā
mausam-e-gul  meñ  chaman-zār  ko  kaise  chhoḌūñ
ai  mire  ghar  kī  fazāoñ  se  gurezāñ  mahtāb
apne  ghar  ke  dar-o-dīvār  ko  kaise  chhoḌūñ
haa.e  dard-e-dil-e-bezār  ki  hañgām-e-ḳhumār
dost  kahte  haiñ  ki  mai-ḳhvār  ko  kaise  chhoḌūñ
aaj  to  sham.a  havāoñ  se  ye  kahtī  hai  'salām'
raat  bhārī  hai  maiñ  bīmār  ko  kaise  chhoḌūñ