Sultan Rashk

jo nazar aata nahin diwar mein dar aur hai

Sultan Rashk

jo nazar aatā nahīñ dīvār meñ dar aur hai
in sitam-gāroñ ke pīchhe ik sitamgar aur hai
jo nazar aatā nahīñ raste kā patthar aur hai
maiñ nahīñ huuñ mere andar ek ḳhud-sar aur hai
in fazāoñ meñ magar merā guzar mumkin nahīñ
merī manzil aur hai merā muqaddar aur hai
ham haiñ tūfān-e-havādis meñ hameñ mālūm hai
tum samajh sakte nahīñ sāhil kā manzar aur hai
bojh terī bevafā.ī kā uThā letā magar
ik tamannā tujh se baḌh kar dil ke andar aur hai
kuchh ta.alluq hī nahīñ jis kā mire hālāt se
mere mohsin terā ik ehsān mujh par aur hai
aap se mil kar mujhe mahsūs ye hone lagā
ye mirā paikar nahīñ hai merā paikar aur hai
merī barbādī kā baa.is sirf nādārī nahīñ
ek sāmān-e-aziyyat is se baḌh kar aur hai
raushnī pahle bhī hotī thī magar 'sultān-rashk'
āftāb-e-subah-e-āzādī kā manzar aur hai
Top Urdushayar.com