Sultan Rashk

mausam-e-gul kunj-e-gulshan nikhat-e-gesu na ho

Sultan Rashk

mausam-e-gul kunj-e-gulshan nik.hat-e-gesū na ho
ab yahī ḳhvāhish hai taskīñ kā koī pahlū na ho
maiñ ki terī ruuh kā iz.hār huuñ mumkin nahīñ
terī bātoñ meñ mire afkār kī ḳhushbū na ho
ai sanā-ḳhvān-e-tajallī ye bhī sochā hai kabhī
ye sarāsīma tajallī raat kā jaadū na ho
imtihān-e-tishnagī kī manzil-e-āḳhir hai ye
ai dil-e-nā-āqebat-andesh be-qābū na ho
maiñ faroġh-e-bazm-e-imkāñ maiñ amīr-e-kārvāñ
maiñ ġharīb-e-shahr-e-nā-pursāñ jo merā tū na ho
ham ne dekhe zindagī meñ aise bhī lamhāt jab
zabt kā yārāna ho aur aañkh meñ aañsū na ho
'rashk'-sāhab maiñ asīr-e-jurm-e-nā-ma.alūm huuñ
kaise mumkin hai mujhe nākāmiyoñ kī ḳhū na ho
Top Urdushayar.com