shagufta  bachchoñ  kā  chehra  dikhā.ī  dene  lage
maiñ  kyā  karūñ  ki  ujālā  dikhā.ī  dene  lage
ye  saḳht  zulm  hai  mālik  ki  sub.h  hote  hī
tamām  ghar  meñ  añdherā  dikhā.ī  dene  lage
vo  sirf  maiñ  huuñ  jo  sau  jannateñ  sajā  kar  bhī
udaas  udaas  sā  tanhā  dikhā.ī  dene  lage
maiñ  kāmyāb  jabhī  hūñgā  ai  rubāb-e-hayāt
ki  bazm  ko  tirā  naġhma  dikhā.ī  dene  lage
gulāb  ugāne  kī  aadat  se  fā.eda  kyā  hai
agar  gulāb  meñ  sho.ala  dikhā.ī  dene  lage
mirā  hī  aks  sahī  phir  bhī  vo  farishta  hai
jo  ġhair  ho  ke  bhī  apnā  dikhā.ī  dene  lage
bahut  aliil  ho  lekin  ye  buz-dilī  hai  'salām'
ki  tum  ko  maut  kā  saaya  dikhā.ī  dene  lage