phūloñ  ke  des  chāñd  sitāroñ  ke  shahr  meñ
barbād  ho  rahā  huuñ  nigāroñ  ke  shahr  meñ
mauj-e-saman  meñ  zahr  hai  bād-e-sabā  meñ  aag
dam  ghuT  rahā  hai  yāsmīñ-zāroñ  ke  shahr  meñ
aañsū  huuñ  hañs  rahā  huuñ  shagūfoñ  ke  darmiyāñ
shabnam  huuñ  jal  rahā  huuñ  sharāroñ  ke  shahr  meñ
vo  maiñ  huuñ  jis  ne  shola-e-sāġhar  uchhāl  kar
kī  hai  ḳhizāñ  kī  baat  bahāroñ  ke  shahr  meñ
ye  qil.a  aur  ye  masjid-e-shāh-e-jahāñ  kā  auj
kis  darja  sar-nigūñ  huuñ  manāroñ  ke  shahr  meñ
ai  merī  fitrat-e-tarab-āgīñ  ḳhatā-muāf
sharminda  huuñ  maiñ  zulm  ke  māroñ  ke  shahr  meñ
bas  maiñ  banūñgā  ḳhusrav-e-mahtāb  ai  'salām'
sochā  hai  ye  dhueñ  ke  ġhubāroñ  ke  shahr  meñ