vo  chehre  jo  the  husn  ke  tūfān  kī  tarah
kamroñ  meñ  chup  haiñ  kāġhzī  gul-dān  kī  tarah
ye  chāñd  ye  bahār  kī  rāteñ  gavāh  haiñ
ham  ab  bhī  apne  ghar  meñ  haiñ  mehmān  kī  tarah
be-shak  huzūr  aap  ḳhudā  kī  tarah  raheñ
jiine  kā  haq  hameñ  bhī  hai  insān  kī  tarah
maiñ  aaj  zindagī  kī  kaḌī  manziloñ  meñ  huuñ
ḳhud  kah  rahā  huuñ  miliye  to  anjān  kī  tarah
pahle  gumān  ye  thā  ki  maiñ  ḳhud  huuñ  rāz-e-zīst
ab  phir  rahā  huuñ  shahr  meñ  nādān  kī  tarah
laao  maiñ  us  ko  sāġhar-e-dil  meñ  sambhāl  luuñ
botal  meñ  ik  parī  hai  mirī  jaan  kī  tarah
ġhālib  ke  shahr  shāhid-o-naġhma  meñ  ham  salām
bikhre  paḌe  haiñ  'mīr'  ke  dīvān  kī  tarah