nāra-e-takbīr  bhī  zāhid  nisār-e-naġhma  hai
kis  qadar  allāhu-akbar  e'tibār-e-naġhma  hai
kyā  surīlī  thī  sadā-e-harf-e-kun  roz-e-azal
ab  tak  rag  rag  hamārī  be-qarār-e-naġhma  hai
andalīb-e-ḳhush-navā  par  aañkh  hai  sayyād  kī
nargis-e-shahlā  sarāpā  intizār-e-naġhma  hai
tafraqa  ho  is  tarah  to  kyā  jame  ishrat  kā  rañg
dil  za.īf-o-nātavāñ  lab  zer-e-bār-e-naġhma  hai
sher  do  haiñ  hazrat-e-ġhālib  ke  dīvāñ  meñ  'azīz'
ye  ġhazal  merī  usī  mai  kā  ḳhumār-e-naġhma  hai