Aziz Hyderabadi

nigah-e-naz mein haya bhi hai

Aziz Hyderabadi

nigāh-e-nāz meñ hayā bhī hai
is banāvaT kī intihā bhī hai
be-sar-o-pā nahīñ hai ye duniyā
ibtidā bhī hai intihā bhī hai
shab-e-furqat meñ kyā kare koī
kuchh añdhere meñ sūjhtā bhī hai
merī ik musht-e-ḳhāk ke pīchhe
bād-e-sarsar bhī hai sabā bhī hai
bazm-e-rindāñ meñ riñd bhī hai 'azīz'
pārsāoñ meñ pārsā bhī hai
Top Urdushayar.com