maiñ  to  kahtā  huuñ  tumhī  dard  ke  darmāñ  ho  zarūr
aur  vo  kahte  haiñ  ki  tum  aaj  pareshāñ  ho  zarūr
chaman-e-shahr  to  vīrāñ  thā  magar  is  ghar  meñ
itnī  nik.hat  hai  ki  tum  ek  gulistāñ  ho  zarūr
mujh  ko  dikhlāo  na  apnī  ye  adā-e-jalva
chalo  taslīm  ki  tum  mujh  meñ  bhī  pinhāñ  ho  zarūr
maiñ  ki  āvāra-tarab-kosh  sharābī  lekin
tum  ki  muḳhlis  ho  mirī  zaat  pe  nāzāñ  ho  zarūr
nazm-o-afsāna  likhūñ  chup  rahūñ  yā  baat  karūñ
tum  ba-har-rañg  magar  mujh  meñ  numāyāñ  ho  zarūr
varna  kyuuñ  aañkh  meñ  aañsū  huuñ  ba-vaqt-e-dushnām
dushmano  tum  bhī  mirī  ziist  ke  ḳhvāhāñ  ho  zarūr
dostoñ  meñ  to  koī  tum  ko  na  pūchhegā  'salām'
azmat-e-raushnī-e-bazm-e-harīfāñ  ho  zarūr