Aziz Hyderabadi

na badalna tha na badla dil-e-shaida apna

Aziz Hyderabadi

na badalnā thā na badlā dil-e-shaidā apnā
rañg har vaqt badaltī rahī duniyā apnā
sūrat-e-ātish-e-ḳhāmosh jalā kartā huuñ
dekhtā huuñ shab-e-ġham aap tamāshā apnā
zaḳhm ne daad na dī dard ne fariyād na kī
rah gayā thaam ke qātil bhī kaleja apnā
husn hai dād-e-ḳhudā ishq hai imdād-e-ḳhudā
ġhair kā daḳhl nahīñ baḳht hai apnā apnā
vo suneñ yā na suneñ nāla-o-fariyād 'azīz'
aap hargiz na kareñ tark taqāzā apnā
Top Urdushayar.com