Aziz Hyderabadi

wahshat-e-dil ka ajab rang nazar aata hai

Aziz Hyderabadi

vahshat-e-dil kā ajab rañg nazar aatā hai
arsa-e-hashr mujhe tañg nazar aatā hai
donoñ jānib hai barābar tirī tasvīr kā ruḳh
ā.īna merī tarah dañg nazar aatā hai
kuchh to sayyād ne kuchh bād-e-sabā ne luuTā
āshiyāne kā ajab rañg nazar aatā hai
sulh-jūī kī tamannā meñ shab-o-roz 'azīz'
yak jahāñ muztarib-e-jañg nazar aatā hai
Top Urdushayar.com