vahshat-e-dil  kā  ajab  rañg  nazar  aatā  hai
arsa-e-hashr  mujhe  tañg  nazar  aatā  hai
donoñ  jānib  hai  barābar  tirī  tasvīr  kā  ruḳh
ā.īna  merī  tarah  dañg  nazar  aatā  hai
kuchh  to  sayyād  ne  kuchh  bād-e-sabā  ne  luuTā
āshiyāne  kā  ajab  rañg  nazar  aatā  hai
sulh-jūī  kī  tamannā  meñ  shab-o-roz  'azīz'
yak  jahāñ  muztarib-e-jañg  nazar  aatā  hai