jafā  dekhnī  thī  sitam  dekhnā  thā
nasīboñ  meñ  rañj-o-alam  dekhnā  thā
vo  aate  na  aate  shab-e-va.ada  lekin
mujhe  de  ke  sar  kī  qasam  dekhnā  thā
ḳhajālat  huī  us  ke  kūche  meñ  kyā  kyā
mujhe  pahle  naqsh-e-qadam  dekhnā  thā
mujhe  dekhnī  terī  himmat  thī  saaqī
bahut  dekhnā  thā  na  kam  dekhnā  thā
kaTī  shām-e-furqat  'azīz'  aah  kyūñ-kar
zarā  ā.īna  sub.h-dam  dekhnā  thā