ban  ga.ī  hai  maut  kitnī  ḳhush-adā  mere  liye
sar  jhukā  kar  phuul  karte  haiñ  duā  mere  liye
tum  na  murjhāo  to  kaliyo  kal  batā  denā  use
kuchh  samajh  kar  khoī  khoī  hai  sabā  mere  liye
maiñ  to  bas  un  ke  hī  rañg-o-nūr  kā  akkās  thā
muztarib  hai  kyuuñ  sitāroñ  kī  ziyā  mere  liye
merī  hī  ḳhātir  thā  ahd-e-tark-e-ārā.ish  magar
phir  vo  aa.e  haiñ  kanār-e-ā.ina  mere  liye
jagmagā  uThtī  hai  dil  meñ  ik  muqaddas  raushnī
jab  nahīñ  hotā  kahīñ  bhī  aasrā  mere  liye
sochtā  huuñ  phir  uThā  luuñ  barbat-e-kohna  'salām'
muntazir  hai  sher-o-naġhma  kā  ḳhudā  mere  liye