tumheñ  mire  ḳhayāl  kī  musavvirī  qubūl  ho
jadīd-tar  fazā-e-alf-lailavī  qubūl  ho
haqīqatoñ  kī  talḳhiyoñ  ke  mas.ale  kuchh  aur  haiñ
magar  ḳhayāl-o-ḳhvāb  kī  ye  shā.irī  qubūl  ho
tumhārā  jism  ma.abad-e-tasavvur-e-nashāt  hai
mufakkir-e-bahār  kī  ye  bandagī  qubūl  ho
ba-vasf-e-ilm-o-fan  jinheñ  kabhī  sukūñ  na  mil  sakā
bahut  hai  gar  unheñ  nashāt-e-ārzī  qubūl  ho
hayāt  ḳhud  mirī  hī  fikr  kā  hasīñ  tilism  hai
agar  jahāñ  ko  bhī  ye  sehr-e-sāmrī  qubūl  ho
tumhāre  husn  ke  tufail  ḳhizr-e-shahr-e-raz  ko  bhī
'salām'  aise  shā.iroñ  kī  kaj-ravī  qubūl  ho