thoḌī  der  ai  saaqī  bazm  meñ  ujālā  hai
jaam  ḳhālī  hone  tak  chāñd  Dhalne  vaalā  hai
sub.h  kī  hasīñ  kirneñ  naag  ban  ke  Das  leñgī
maiñ  inheñ  samajhtā  huuñ  maiñ  ne  un  ko  paalā  hai
bazm-e-nau  kī  sham.oñ  ko  ye  ḳhabar  nahīñ  hogī
kis  ne  zulmat-e-shab  ko  raushnī  meñ  Dhālā  hai
kis  ne  ḳhvāb-e-insāñ  ke  nuqra.ī  safīne  ko
saḳht-tar  talātum  kī  zad  meñ  bhī  sambhālā  hai
log  hañs  ke  kah  deñge  maiñ  ḳharāb-e-sahbā  thā
mai-kada  ye  ḳhush  hogā  us  kā  bol-bālā  hai
merī  fikr  kī  ḳhushbū  qaid  ho  nahīñ  saktī
yuuñ  to  mere  hoñToñ  par  maslahat  kā  taalā  hai
merī  maut  ai  saaqī  irtiqā  hai  hastī  kā
ik  'salām'  jaatā  hai  ek  aane  vaalā  hai