ab  ayādat  ko  mirī  koī  nahīñ  aa.egā
phir  huuñ  bīmār  kisī  ko  na  yaqīñ  aa.egā
ġham  musalsal  ho  to  ahbāb  bichhaḌ  jaate  haiñ
ab  na  koī  dil-e-tanhā  ke  qarīñ  aa.egā
apne  ḳhvāboñ  ke  darīchoñ  meñ  jalā  lo  sham.eñ
aur  ye  soch  lo  ik  māh-jabīñ  aa.egā
phir  nigār-e-chaman-e-vādī-e-fardā-e-bahār
gul-ba-dast-e-mah-o-anjum  ba-jabīñ  aa.egā
zehn-e-tāza  ke  liye  sāz-e-haqīqat  chheḌo
chain  ise  sirf  taḳhayyul  se  kahīñ  aa.egā
sirf  apne  hī  azā.em  pe  bharosa  kar  le
kaam  koī  bhī  na  ai  qalb-e-hazīñ  aa.egā
roz  puujā  ke  liye  phuul  sajātā  hai  'salām'
jaane  kab  us  kā  ḳhudā  sū-e-zamīñ  aa.egā