mire  haal  par  mehrbānī  kare
ḳhudā  se  kaho  hukm-e-sānī  kare
maiñ  ik  buuñd  paanī  baḌī  chiiz  huuñ
samundar  mirī  pāsbānī  kare
paḌheñ  log  tahrīr-e-dīvār  o  dar
ḳhulāsa  mirī  be-zabānī  kare
azal  se  maiñ  us  ke  ta.āqub  meñ  huuñ
jo  lamha  mujhe  ġhair-fānī  kare
vo  baḳhshe  ujāle  kisī  sub.h  ko
koī  shaam  raushan  suhānī  kare
mire  saa.e  meñ  sab  haiñ  mere  sivā
koī  to  mirī  sā.ebānī  kare
koī  hai  jo  baḌh  ke  uThā  le  'amīr'
vo  tesha  jo  patthar  ko  paanī  kare