basar  honā  bahut  dushvār  sā  hai
ye  shab  jaise  kisī  kī  bad-duā  hai
andhere  moḌ  par  mujh  sā  hī  koī
na  jaane  kaun  hai  kyā  chāhtā  hai
ik  aisā  shaḳhs  bhī  hai  bastiyoñ  meñ
hameñ  ham  se  ziyāda  jāntā  hai
panāheñ  DhūñDne  niklī  thī  duniyā
savā  neze  pe  sūraj  aa  gayā  hai
abhī  tak  surḳh  hai  miTTī  yahāñ  kī
jahāñ  maiñ  huuñ  vo  shāyad  karbalā  hai
ḳhushī  kī  lahr  dauḌī  dushmanoñ  meñ
vo  shāyad  dostoñ  meñ  ghir  gayā  hai
ka.ī  din  ho  ga.e  haiñ  chalte  chalte
ḳhudā  jaane  kahāñ  tak  rāsta  hai