kyā  ḳharīdoge  chaar  aane  meñ
aqlmandī  hai  ghar  na  jaane  meñ
tabsira  kar  rahe  haiñ  duniyā  par
chand  bachche  sharāb-ḳhāne  meñ
pursish-e-hāl  kar  rahe  haiñ  log
kyā  bigaḌtā  hai  muskurāne  meñ
ai  musavvir  ye  surḳh-rū  chehra
aisī  tasvīr  is  zamāne  meñ
ghar  meñ  andher  kar  gayā  koī
der  kar  dī  charāġh  laane  meñ
chhup  ke  baiThī  huī  hai  maut  kahīñ
zindagī  tere  shāmiyāne  meñ
be-libāsī  nasīb  hai  us  kā
ḳhvāb  buntā  hai  kār-ḳhāne  meñ