na  pūchh  manzar-e-shām-o-sahar  pe  kyā  guzrī
nigāh  jab  bhī  haqīqat  se  āshnā  guzrī
hamāre  vāste  vīrāni-e-nazar  har  sū
hamīñ  ne  dasht  sajā.e  hamīñ  pe  kyā  guzrī
na  jaane  kaisī  haqīqat  kā  aa.ina  huuñ  maiñ
nazar  nazar  mire  nazdīk  se  ḳhafā  guzrī
ye  zard  ho  ga.e  kaise  hare  bhare  ashjār
jo  log  saa.e  meñ  baiThe  the  un  pe  kyā  guzrī
ġhurūb  hotī  rahīñ  us  kī  nekiyāñ  din  meñ
har  ek  raat  gunāhoñ  kī  be-sazā  guzrī
jalā  rahā  thā  sar-e-shām  mish.aleñ  koī
tamām  raat  ulajhtī  huī  havā  guzrī
na  dekh  pāoge  be-manzarī  ujāloñ  kī
ye  raat  Dhalne  lagī  to  koī  sadā  guzrī