har  rahguzar  meñ  kāhkashāñ  chhoḌ  jā.ūñgā
zinda  huuñ  zindagī  ke  nishāñ  chhoḌ  jā.ūñgā
maiñ  bhī  to  āzmā.ūñgā  us  ke  ḳhulūs  ko
us  ke  laboñ  pe  apnī  fuġhāñ  chhoḌ  jā.ūñgā
merī  tarah  use  bhī  koī  justujū  rahe
az-rāh-e-ehtiyāt  gumāñ  chhoḌ  jā.ūñgā
merā  bhī  aur  koī  nahīñ  hai  tire  sivā
ai  shām-e-ġham  tujhe  maiñ  kahāñ  chhoḌ  jā.ūñgā
raushan  rahūñgā  ban  ke  maiñ  ik  shola-e-navā
sahrā  ke  ās-pās  azaañ  chhoḌ  jā.ūñgā
phir  aa  ke  bas  ga.e  haiñ  barābar  ke  ghar  meñ  log
ab  phir  'amīr'  maiñ  ye  makāñ  chhoḌ  jā.ūñgā