ye  abr-o-bād  ye  tūfān  ye  añdherī  raat
ab  ek  moḌ  pe  aa  jā  rafīq-e-rāh-e-hayāt
havā  ke  dosh  pe  mauj-e-ajal  ḳhirāmāñ  hai
marīz-e-dahr  pe  taarī  haiñ  naza.a  ke  lamhāt
hayāt  ek  taḳhayyul  nahīñ  haqīqat  hai
mujhe  batā.ī  hai  aadam  ke  azm  ne  ye  baat
mire  rafīq  mohabbat  ke  din  bhī  ā.eñge
vahī  hasīn  saverā  vahī  kuñvārī  raat
vahī  gulāb  ke  mausam  vahī  sharāb  ke  daur
vahī  sharīr  ghaTā.eñ  vahī  bharī  barsāt
sunā.ī  jā.egī  koyal  ko  ham-navā  kar  ke
hasīn  phūloñ  ko  bhauñroñ  kī  ek  raaz  kī  baat
ġhazal  kī  Daal  sajā  kar  chaman  kī  dulhan  ko
'salām'  nazr  karegā  suhāg  kī  sauġhāt