vo  ik  lafz  jo  be-sadā  jā.egā
vahī  muddatoñ  tak  sunā  jā.egā
koī  hai  jo  mere  ta.āqub  meñ  hai
mujhe  merā  chehra  dikhā  jā.egā
vo  ik  shaḳhs  jo  dushman-e-jāñ  sahī
magar  phir  bhī  apnā  kahā  jā.egā
jalegī  koī  mish.al-e-jāñ  abhī
magar  phir  añdherā  sā  chhā  jā.egā
nafi-e-jur.at-e-haq-numā.ī  sahī
magar  kab  kisī  se  kahā  jā.egā
yahāñ  ik  shajar  muntazir  sā  bhī  hai
ab  āḳhir  kahāñ  tak  chalā  jā.egā
maiñ  vo  mish.al-e-nīm-shab  huuñ  'amīr'
jise  kal  kā  sūraj  bujhā  jā.egā