naqsh  paanī  pe  banā  ho  jaise
zindagī  mauj-e-balā  ho  jaise
mujh  se  bach  bach  ke  chalī  hai  duniyā
mere  nazdīk  ḳhudā  ho  jaise
koī  tahrīr  mukammal  na  huī
mujh  se  har  lafz  ḳhafā  ho  jaise
kis  qadar  shahr  meñ  sannāTā  hai
ab  ke  koī  na  bachā  ho  jaise
is  tarah  puuj  rahī  hai  duniyā
koī  mujh  se  bhī  baḌā  ho  jaise
raah  miltī  hai  andheroñ  meñ  mujhe
koī  masrūf-e-duā  ho  jaise
mujh  ko  aksar  ye  huā  hai  mahsūs
koī  kuchh  pūchh  rahā  ho  jaise
ghar  se  is  tarah  nikal  aa.e  'amīr'
koī  dushman  na  rahā  ho  jaise