merī  pahchān  hai  kyā  merā  pata  de  mujh  ko
koī  ā.īna  agar  hai  to  dikhā  de  mujh  ko
tujh  se  miltā  huuñ  to  aksar  ye  ḳhayāl  aatā  hai
is  bulandī  se  agar  koī  girā  de  mujh  ko
kab  se  patthar  kī  chaTTānoñ  meñ  huuñ  gumnām  o  asiir
devtāoñ  kī  tarah  koī  jagā  de  mujh  ko
ek  ā.īna  sar-e-rāh  liye  baiThā  huuñ
jurm  aisā  hai  ki  har  shaḳhs  sazā  de  mujh  ko
in  andheroñ  meñ  akelā  hī  jalūñgā  kab  tak
koī  shai  tū  bhī  to  ḳhurshīd-numā  de  mujh  ko