har  ek  haath  meñ  patthar  dikhā.ī  detā  hai
ye  zaḳhm  ghar  se  nikal  kar  dikhā.ī  detā  hai
sunā  hai  ab  bhī  mire  haath  kī  lakīroñ  meñ
najūmiyoñ  ko  muqaddar  dikhā.ī  detā  hai
ab  inkisār  bhī  shāmil  hai  vaz.a  meñ  us  kī
use  bhī  ab  koī  ham-sar  dikhā.ī  detā  hai
girā  na  mujh  ko  mire  ḳhvāb  kī  bulandī  se
yahāñ  se  mujh  ko  mirā  ghar  dikhā.ī  detā  hai
jahāñ  jahāñ  bhī  hai  nahr-e-furāt  kā  imkāñ
vahīñ  yazīd  kā  lashkar  dikhā.ī  detā  hai
ḳhudā  ke  shahr  meñ  phir  koī  sañgsār  huā
jise  bhī  dekhiye  patthar  dikhā.ī  detā  hai
'amīr'  kis  ko  batāoge  kaun  mānegā
sarāb  hai  jo  samundar  dikhā.ī  detā  hai