nazar  nazar  hairānī  de
mujh  ko  merā  saanī  de
jugnū  phuul  sitāra  chāñd
apnī  koī  nishānī  de
insānoñ  ko  daanā  kar
thoḌī  sī  nādānī  de
har  chehra  be-rañgat  hai
shakl  koī  nūrānī  de
tere  bachche  pyāse  haiñ
in  paudoñ  ko  paanī  de
rāvan  raat  jagātā  hai
koī  rām-kahānī  de
mujh  ko  mujh  se  duur  na  rakh
milne  kī  āsānī  de
sāhil  sāhil  tishna-labī
dariyā  ko  tuġhyānī  de