sub.h-dam  bhī  yuuñ  fasurda  ho  gayā
ai  dil-e-nāzuk  tujhe  kyā  ho  gayā
sīna-e-barbat  se  jo  sho.ala  uThā
ġham-zadoñ  ke  dil  kā  naġhma  ho  gayā
shukriya  ai  gardish-e-jām-e-sharāb
maiñ  bharī  mahfil  meñ  tanhā  ho  gayā
raat  dil  ko  thā  sahar  kā  intizār
ab  ye  ġham  hai  kyuuñ  saverā  ho  gayā
pūchhiye  us  se  ġham-e-sāz-e-ḳhulūs
chaar  hī  din  meñ  jo  rusvā  ho  gayā
bujh  ga.ī  kuchh  is  tarah  sham-e-'salām'
jaise  ik  bīmār  achchhā  ho  gayā