ik  parinda  abhī  uḌaan  meñ  hai
tiir  har  shaḳhs  kī  kamān  meñ  hai
jis  ko  dekho  vahī  hai  chup  chup  sā
jaise  har  shaḳhs  imtihān  meñ  hai
kho  chuke  ham  yaqīn  jaisī  shai
tū  abhī  tak  kisī  gumān  meñ  hai
zindagī  sañg-dil  sahī  lekin
ā.īna  bhī  isī  chaTān  meñ  hai
sar-bulandī  nasīb  ho  kaise
sar-nigūñ  hai  ki  sā.ebān  meñ  hai
ḳhauf  hī  ḳhauf  jāgte  sote
koī  aaseb  is  makān  meñ  hai
aasrā  dil  ko  ik  umiid  kā  hai
ye  havā  kab  se  bādbān  meñ  hai
ḳhud  ko  paayā  na  umr  bhar  ham  ne
kaun  hai  jo  hamāre  dhyān  meñ  hai