haañ  ye  taufīq  kabhī  mujh  ko  ḳhudā  detā  thā
nekiyāñ  kar  ke  maiñ  dariyā  meñ  bahā  detā  thā
thā  usī  bhiiḌ  meñ  vo  merā  shanāsā  thā  bahut
jo  mujhe  mujh  se  bichhaḌne  kī  duā  detā  thā
us  kī  nazroñ  meñ  thā  jaltā  huā  manzar  kaisā
ḳhud  jalā.ī  huī  sham.oñ  ko  bujhā  detā  thā
aag  meñ  lipTā  huā  hadd-e-nazar  tak  sāhil
hausla  Dūbne  vāloñ  kā  baḌhā  detā  thā
yaad  rahtā  thā  nigāhoñ  ko  har  ik  ḳhvāb  magar
zehn  har  ḳhvāb  kī  tābīr  bhulā  detā  thā
kyuuñ  parindoñ  ne  daraḳhtoñ  pe  baserā  na  kiyā
kaun  guzre  hue  mausam  kā  pata  detā  thā