band  āñkhoñ  se  vo  manzar  dekhūñ
reg-e-sahrā  ko  samundar  dekhūñ
kyā  guzartī  hai  mire  baad  us  par
aaj  maiñ  us  se  bichhaḌ  kar  dekhūñ
shahr  kā  shahr  huā  patthar  kā
maiñ  ne  chāhā  thā  ki  muḌ  kar  dekhūñ
ḳhauf  tanhā.ī  ghuTan  sannāTā
kyā  nahīñ  mujh  meñ  jo  bāhar  dekhūñ
hai  har  ik  shaḳhs  kā  dil  patthar  kā
maiñ  jidhar  jā.ūñ  ye  patthar  dekhūñ
kuchh  to  andāza-e-tūfāñ  ho  'amīr'
naav  kāġhaz  kī  chalā  kar  dekhūñ