mire  junūñ  kā  natīja  zarūr  niklegā
isī  siyāh  samundar  se  nuur  niklegā
girā  diyā  hai  to  sāhil  pe  intizār  na  kar
agar  vo  Duub  gayā  hai  to  duur  niklegā
usī  kā  shahr  vahī  mudda.ī  vahī  munsif
hameñ  yaqīñ  thā  hamārā  qusūr  niklegā
yaqīñ  na  aa.e  to  ik  baat  pūchh  kar  dekho
jo  hañs  rahā  hai  vo  zaḳhmoñ  se  chuur  niklegā
us  āstīn  se  ashkoñ  ko  pochhne  vaale
us  āstīn  se  ḳhanjar  zarūr  niklegā